Poetry is a wonderful way to express your feelings and emotions for something or someone you love. Below is beautiful poetry written by a member of Messiah Foundation in love and honour of His Divine Eminence Gohar Shahi. (Written in Roman Urdu)
Sochti hon tere ishq ki inteha kiya hai
Kahan jaan sakay ga mitti ka ye insaan
Tu ne insaan-e-wehshi ko ishq-e-haqiqi sikhaya
Wo raaz diye insaan ko jis se tu imam-e-mobeen kehlaya
Apni saak dikha kar youm-e-mehsaar mein sab ko jhukaya
Jis ko rab ne tukhraya uss ko tu ne galay lagaya
Jis ko huron kasoor ki abb chah na rahi
Jis ko azli jahanumi keh kar rab ne fehrist mein dalwaya
Uss ko apni nisbat-e-Gohar de kar
Saza se bhi bachaya, jis ko azal ke faislay ne zaleel karwaya
Uss ko izzat or martabat aap ne dilaya
Ye himmat kis ne di samjh nahen apnay shouqay bayan ki
Jis RARIAZ ne rab ko apnay qadmon pe jhukaya
Ye ishq-e-junoon nahen to aur kiya kamal hai Gohar
Tere dar ki panah lene kar yehi to jamal hai
Rab ki nazron mein jo na ehl karar paaya
Aap ki nazron ne ussay tamaam dar maqaam dilaya
Sochti hon phir phir tere ishq ki inteha kiya hai
Sochti hon phir bhi tere ishq ki inteha kiya hai
Social Media