Husn-e-Gohar
Tujh se Roshan hain Gohar
Tujh se roshan hain Gohar, Qalb-o-nazar, shams-o-qamar, Aye mere piyaray Gohar (rep.) Teri aankhen, teri palken, tere abroo Gohar Tera chalna, tera hasna, teri khushbu Gohar Yaad jab aaye to thamtay nahen aansoo Gohar Ab to aa ja ke Tujhe dhoondon har soo Gohar Aye mere piyaray Gohar (rep.) Tujh se roshan hain Gohar, Qalb-o-nazar, shams-o-qamar, Aye mere piyaray Gohar (rep.) Teri zulfon ke taqadus ki qassam khayen hum Tere chehray ki tilawat se hi bandh jayen hum Dil se dharkan ki jagah aur sada Ya Gohar, Riaz hai noor mein, honton pe hai Gohar, Gohar Aye mere piyaray Gohar (rep.) Tujh se roshan hain Gohar, Qalb-o-nazar, shams-o-qamar, Aye mere piyaray Gohar (rep.) Kon hai jo Tere qadmon mein nahen hai Gohar Har haseen se bhi haseen-tar hai, haseen hai Gohar Tere jesa koi lajpal nahen hai Gohar Tu hi Yaseen ka Malik hai, Tu hi hai Gohar Aye mere piyaray Gohar (rep.) Tujh se roshan hain Gohar, Qalb-o-nazar, shams-o-qamar, Aye mere piyaray Gohar (rep.)