Husn-e-Gohar
Chand mein hai tu jalwa numa
(Faded Voice: Gohar [rep.]) Chand mein hai Tu jalwa numa Aks Tera hai dil mein nihaan Teri aamad ki main muntazir Ye zameen aur aasmaan Gohar, Mere Gohar (rep.) Hai muntazir dil dewana Gohar, aao na Gohar, meri jaan (rep.) Dilnashien, dilnashien hain Gohar Kon tum sa haseen hai Gohar Gohar, Mere Gohar (rep.) Hai Muntazir ye zamana Gohar, Mere Gohar (rep.) Hai mast mausam suhana Gohar, Aao na, Gohar, Meri Jaan (rep.) Tere qadmon mein saara jahaan Har jahaan mein teri dastaan Ab to maanay hi maanay jahaan Aye Gohar, tu Imam-e-Zamaan Gohar, Mere Gohar (rep.) Har lab pe tera fasana Gohar, Gohar...